Friday, January 29, 2010

Yeh Baat Samajh Main Aayi Nahi

# Shared by PD :)


Yeh baat samajh mein aayee nahi,

aur ammi ne samjhayee nahi

Main kaise meethi baat karoon,

jab meethi cheez khaayee nahi

Aapa bhi pakaati hain halwa,

woh aakhir kyon halwaayee nahi


Bhaiya ki mangni ho gayee hai kal,

kyon kal hi dulhan mangwayee nahi

Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Naani k miyaan jab nana hain,

Daadi k miyaan jab dada hain

Tab aapi say mainne poocha,

"Baji k miyaan kia baaja hain"?

Woh hans hans kar yun kehne lagi,

aye bhai nahi yoon bhai nahi

Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Jab neya maheena aata hai,

bijli ka bill aa jata hai

Halanki baadal bechara yeh bijli muft lutaata hai

Phir ham ne apne ghar bijli,

kyon baadal se lagwayee nahi

Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Gar billi sher ki khaala hai,

Phir ham nay usay kyon paala hai?

Kya sher bahut nalayak hai,

khaala ko maar nikaala hai?

Ya jungle ke raaja ke yahan,

kya milti doodh malaayee nahi?

Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Kiun lambe baal hain bhaaloo ke,

kyon us ki tind karayee nahi?

Kya woh bhi ganda bacha hai,

ya us ke abbu-bhai nahi?

Yeh us ka hair style hai,

Ya jungle main koi naayee nahi?

Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Jo taare jugmug karte hain,

kya un ki chaachi taayee nahi?

Hoga koi rishta sooraj se,

yeh baat hamain batlaayee nahi

Par chaand kis ka maamoo hai,

Jab ammi ka woh bhai nahi?

Yeh baat samajh main aayee nahi!!!

Yeh baat samajh main aayee nahi,

aur ammi nay samjhayee nahi


Main kaisay meethi baat karoon,

jab meethi cheez khayee nahi!!

No comments:

Post a Comment